Jo Yun Hota To Kya Hota
ye masdar ism-e-mazi ka nahin hai
aap kahiye to bata dete hain hone ko
jo yun hota to kya hota
na hota gar juda tan se to zanu par dhara hota
wo tum se ibn-e-muljim ka pata puchhen to kahna
chaar hafton se bahut masruf hai
roTi nahin khai
saron ki fasl bar-e-KHushk-sali se garan hai
log masjid bhi nahin jate
main us ko masjid-e-zarrar ke bahar milunga
wo ghoDon ki tarah the
farba-andami pe mail
sath wali khiDkiyon par hinhinate the
ab un ke nal Thonki ja rahi hai
mera ghar jaana zaruri hai
ki aise mein hamesha chhuTTiyon ka kal hota hai
chalo ghar ki taraf chalte hain
bahar barf-bari hai
main tum par nazm likhunga
mohabbat laDkiyon ko astabal mein chhoD aati hai
main tum ko beach khiDki mein biTha kar nazm likhunga
tumhein aata to hoga darmiyan se lauTna
main lauTne par nazm likhunga
ye masdar ism mazi ka nahin hai
tum jo kah do to bula lete hain ghar se ibn-e-muljim ko
mujhe apni zamin astabal ki qist deni hai
use bhi koi surat chahiye ghar se nikalne ki
(606) Peoples Rate This