Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cab5a08fe825028f77b479a29543a791, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Is Chhaaliya Ke PeD Ke Niche - Mohammad Anvar Khalid Poetry In English - Darsaal

Is Chhaaliya Ke PeD Ke Niche

is chhaaliya ke peD ke niche KHuda-gawah

mujh par nuzul rahmat-o-ijlal-e-haq hua

aur yun hua ki mujh pe zamin khol di gai

aur aasman sar pe musallat nahin raha

aur ye kaha gaya ki jo ghar loTiye to phir

hathon mein dhup le ke munDeron pe Daliye

miTTi ugaiye ki zamin shora-pusht hai

aur ye ki mish-o-ablaq-o-ushtar ke waste

do chhaaliya ke peD mazaron ke tin phul

aur ek aankh jis pe jahan-e-abas khule

waise to ghar tak aa gai saat zawal ki

(639) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Chhaaliya Ke PeD Ke Niche In English By Famous Poet Mohammad Anvar Khalid. Is Chhaaliya Ke PeD Ke Niche is written by Mohammad Anvar Khalid. Read famous Poem Is Chhaaliya Ke PeD Ke Niche for youth and Student by Mohammad Anvar Khalid. Free Download Is Chhaaliya Ke PeD Ke Niche in PDF.