Be-irada Zist Kije
akela-pan parinde ka
parinde ka akela-pan
samaat-gah-e-virani mein bulbul bolti hai
akela-pan gaDriye ka
kisi sada gaDriye ka akela-pan
wo is shab bheDiyon ke darmiyan tanha nahin hoga
akela-pan musafir ka
kisi bhule musafir ka akela-pan
musafir quwwat-e-parwaz se majbur hai
aage nikal jata hai
sahil par parinde ghas par TuTe hue par dekhte hain
musafir ke darmiyan tanha nahin hoga
akela-pan sitare ka
sitare ka akela-pan
sitara TuTta hai rakh ho jata hai
miTTi sab chhupa leti hai
miTTi mein koi tanha nahin hota
fana tamil dars-e-be-KHudi hai
be-irada zist kije
be-taqaza paiye
kucha-e-bint-e-sara-e-dahr mein chaliye kabhi sar-salamat aaiye
aur ek raqs-e-fana tamil dars-e-be-KHudi
chuntiyon ke darmiyan bheDiyon ke darmiyan
miTTiyon ke silsilon ke darmiyan raqs-e-fana
be-irada zist kije
(691) Peoples Rate This