Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1a56abd0f13507a4355308bb5d6962a9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Barf-bari Mein - Mohammad Anvar Khalid Poetry In English - Darsaal

Barf-bari Mein

jahan lakDi ki mezon aur nangi kursiyon mein

shah-e-baluti gardanon ka KHam nazar aae

wahan jhukna ibaadat hai

main nange panw bahar aa gaya tha barf-bari mein

meri khiDki ke niche chandni se bhi ziyaada chandni thi

jab hawa pagal hui

aur tum ne chehra moD kar sone ki koshish ki

hawa sunti nahin hai

hawa jab bhi chalegi khiDkiyon par zarb aaegi

koi aawaz bhi hogi

chalo aisa karo so lo

tum apni nind do din ke liye mahfuz kar lo

barf-bari mein rifaqat ki har ek surat ibaadat hai

(2406) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barf-bari Mein In English By Famous Poet Mohammad Anvar Khalid. Barf-bari Mein is written by Mohammad Anvar Khalid. Read famous Poem Barf-bari Mein for youth and Student by Mohammad Anvar Khalid. Free Download Barf-bari Mein in PDF.