Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_189e6107caaa02e68452dfe7d7ac3c46, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Baat Nahin Ho Sakti - Mohammad Anvar Khalid Poetry In English - Darsaal

Baat Nahin Ho Sakti

wo jo kahte hain kisi TeDh bina koi baat nahin ho sakti

so aan ki aan mein Dor palaT kar mahi-gir pe aan paDi

unhi mausam mein koi tum sa dariya par se aaya tha

aur sari basti roi thi

us din basti mein rone walon ka din tha aur tum ne kaha tha

ye log samundar math kar pite the ab rote hain

aur tum ne kaha tha

un logon se to sahil par kho jaane wale bachche achchhe hain

jo ret pe khelte khel ko pani kar dete hain

so TeDh mein tum ne baat kahi

un logon se to sahil par kho jaane wale bachche achchhe hain

wo jo kahte hain har baat mein koi TeDh si ho to behtar hai

un logon se sar-e-sham milo to baat nahin ho sakti

aur din mein un ke sath kai dorahe chalte hain

aur raat mein un ke ghar bas nind ka sauda ho sakta hai

aur nind kaddu ki bel hai sukh gai to sahil par paighambar bacha rah jata hai

so TeDh mein tum ne baat kahi

ab paighambar se baat nahin ho sakti

wo jo kahte hain kisi TeDh bina koi baat nahin ho sakti

so aan ki aan mein Dor palaT kar mahi-gir par aan paDi

(496) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baat Nahin Ho Sakti In English By Famous Poet Mohammad Anvar Khalid. Baat Nahin Ho Sakti is written by Mohammad Anvar Khalid. Read famous Poem Baat Nahin Ho Sakti for youth and Student by Mohammad Anvar Khalid. Free Download Baat Nahin Ho Sakti in PDF.