Asiri
din baadal hai apni rau mein chalta hai
raat aangan hai apne andar khulti hai
jis aan tum is miTTi par ya miTTi mein aae the
wo din tha raat thi
ya din-raat se milne ki ek azali abadi koshish thi
ya suraj chand-gahan tha
ya pakki puri barish thi
din baadal barish raat gahan
ek ghar aur ek asir
ab raat ke KHwab se mat Darna
aur din ke gham mein mat sona
ab hansna aur hanste mein mar jaana
jaise aksar marne wale sote mein mar jate hain
ab hansna aur hanste mein mar jaane se mat Darna
is aan se kya har aan yahi
din baadal barish raat gahan
ek ghar aur ek asir
(519) Peoples Rate This