Aasman KHak-dan
rakh uDati hui
aur bin KHak-dan koi jalta nahin
is sitare ke us par bhi koi jalta to hoga kisi aasman ke tale
KHwab ne raston par diye rakh diye
main ne har sham dekha
ki tum aae the
aur mil kar gae
aur har sham ek tar-e-kafash-o-kulah jal gaya
ek jalta hua silsila jal gaya
han magar ek diya sa uThae rakho
tar-e-kafash-o-kulah ke qarin
ek diya sa jalae rakho
aasman KHak-dan
(492) Peoples Rate This