Mere Parwane Ko Ab Muzhda-e-mayusi Hai
mere parwane ko ab muzhda-e-mayusi hai
kyunki wo parda-nashin shoala-e-fanusi hai
saqiya dast-e-nigarin se tere mina mein
hum jo karte hain nazar jalwa-e-tausi hai
jam-e-labrez chahakta hai yad-e-baiza sa
yar ke hath mein kya moajaza-e-musi hai
marti us gul pe hai bikta hai jo kauDi kauDi
tujh pe marti nahin bulbul bhi kuchh ullu si hai
ai sanam nala o afghan se mere sham o sahar
dil ke but-KHane mein ab naghma-e-naqusi hai
dasht mein chal ki har ek KHar-e-bayaban ko 'nisar'
jun hina kab se tamanna-e-qadam-bosi hai
(630) Peoples Rate This