Dosti Chah Dili Mehr-o-mohabbat Guzri
dosti chah dili mehr-o-mohabbat guzri
sidhe munh baat bhi karta nahin rut guzri
ek misra jo paDha wasf-e-qad-e-yar mein hum
sarw ke sar pe gulistan mein qayamat guzri
ham-nashin puchh na kuchh chup hi bhali hai us se
shab-e-furqat mein jo kuchh hum pe saubat guzri
subh ko nam kisi ne jo liya is ka yahan
dil-e-mushtaq pe be-tarah ki haalat guzri
aankh hum se jo milata nahin wo aaina-ru
KHaksaron se ye kya dil mein kudurat guzri
kabhu laDta tha kabhu hans ke lipaT jata tha
kyun 'nisar' us se ajab raaton ki sohbat guzri
(604) Peoples Rate This