Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a2b005e80649fc90bbe186c6940c25ab, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chori Chori Aankh LaDte Mein Dikha Dun To Sahi - Mohammad Amaan Nisar Poetry In English - Darsaal

Chori Chori Aankh LaDte Mein Dikha Dun To Sahi

chori chori aankh laDte mein dikha dun to sahi

khans kar khankhaar kar us ko jata dun to sahi

mil to dekhe ghair se kis tarah milta hai wo shoKH

wo jo naqsha us ne bandha hai miTa dun to sahi

jal-bujhe sine mein dil lekin na nikle munh se aah

dar muqaffal kar ke main ghar ko jala dun to sahi

ishq kahta hai ki sar-rishta dil ka mere hath

jun patang ek din kaTa kar main luTa dun to sahi

sath le kar yar ghairon ko idhar aata to hai

ai 'nisar' us se ye rasta main chhuDa dun to sahi

(570) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chori Chori Aankh LaDte Mein Dikha Dun To Sahi In English By Famous Poet Mohammad Amaan Nisar. Chori Chori Aankh LaDte Mein Dikha Dun To Sahi is written by Mohammad Amaan Nisar. Read famous Poem Chori Chori Aankh LaDte Mein Dikha Dun To Sahi for youth and Student by Mohammad Amaan Nisar. Free Download Chori Chori Aankh LaDte Mein Dikha Dun To Sahi in PDF.