Bar-e-KHatir Baghban Ka Ne Dil-azar-e-chaman
bar-e-KHatir baghban ka ne dil-azar-e-chaman
sab se rahta hun alag jun KHar-e-diwar-e-chaman
ne dhuan dil se uThe yaro na parwana jale
aatish-e-KHamosh hun manind-e-gulzar-e-chaman
sirf aaraish ko hun gul-ha-e-kaghaz ki misal
bu kare mujh ko na koi aur na darkar-e-chaman
bulbul-e-rishta-bapa laTke hai shaKH-e-gul se aaj
saKHt uljheDe mein hai ya-rab gunahgar-e-chaman
kya hue main kis se puchhun haal un ka ai 'nisar'
ab nazar aate nahin wo naz-bardar-e-chaman
(617) Peoples Rate This