Qurb O Buad
raat ko jab bhi aankh khuli hai
mujh ko yun mahsus hua hai
jaise koi
mere sirhane khaDa hua hai
do aanhken
miThi nazron se
mera chehra chum rahi hain
do hathon ki narmi
mere ruKHsaron par phail gai hai
do honTon ki garmi
meri peshani mein jazb hui hai
zulfon ki lahraati KHushbu
sanson mein ras-bas si gai hai
kamre ki KHamosh faza mein
giton ke kuchh bol purane
tair rahe hain
khiDki ke pardon ko jaise
abhi kisi ne Thik kiya hai
aatish-dan ke bujhte shoale
abhi abhi bhaDkae gae hain
takiya jo bistar se gira tha
ab sar us pe dhara hua hai
kambal jo pairon mein paDa tha
sara badan ab Dhanp raha hai
mujh ko yun mahsus hua hai
jaise tum
ab bhi kamre mein khaDi hui ho
ab bhi ghar mein basi hui ho
lekin tum to chhoD ke mujh ko
dur purane qabristan ki
simTi sukDi ek turbat mein
ek muddat se chhupi hui ho!
(505) Peoples Rate This