Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a5d74517d2fa93bccbb45f6b2a0a11bb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Machhli Ki Bu - Mohammad Alvi Poetry In English - Darsaal

Machhli Ki Bu

bistar mein leTe leTe

us ne socha

main moTa hota jata hun

kal main apne nile suiT ko

alter karne

darzi ke han de aaunga

naya suiT do-chaar mahine baad sahi!

darzi ki dukan se lag kar

jo hotel hai

us hotel ki

machhli testy hoti hai

kal khaunga

lekin machhli ki bu sali

hathon mein bas jati hai

kal sabun bhi lana hai

ghar aate

leta aaunga

ab ke yardley launga

office mein kal kaam bahut hai

boss agar naraaz hua to

do din ki chhuTTi le lunga

aur agar mood hua to

chhe ke show mein

ram-aur-shyam bhi dekh aaun ga

picture achchhi hai sali

nau se bara

club rami

do din se luck achchha hai

kal bhi saTh rupe jita tha

aaj bhi tis rupe jita hun

aur ummid hai

kal bhi jit ke aaunga

bas ab nind aae to achchha

kal bhi

jit ke

nind aae to

ikka-dukki nahla-dahla

inT ki begam

machhli ki bu

tash ke patte

joker joker

suiT pahan kar

moTa-tagDa joker

itna bahut sa soch ke wo

soya tha magar

phir na uTha!!

dusre din jab

us ka janaza

darzi ki dukan ke pas se guzra to

hotel se machhli ki bu

dur dur tak aai thi!!!

(479) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Machhli Ki Bu In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Machhli Ki Bu is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Machhli Ki Bu for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Machhli Ki Bu in PDF.