Ghar
ab main ghar mein panw nahin rakhunga kabhi
ghar ki ek ek chiz se mujh ko nafrat hai
ghar wale sab ke sab mere dushman hain
jail se milti-julti ghar ki surat hai
abba mujh se roz yahi farmate hain
kab tak mera KHun pasina chaToge
amman bhi har roz shikayat karti hain
kya ye jawani paDe paDe hi kaToge
bhai kitabon ko rota rahta hai sada
bahnen apna jism churae rahti hain
maile kapDe tan pe dagh lagate hain
bhigi aanhken jaane kya kya kahti hain
chulhe ko ji bhar ke aag nahin milti
kapDon ko sanduq taraste rahte hain
darwaza khiDki munh khole takte hain
diwaron par bhutne hanste rahte hain
ab main ghar mein panw nahin rakhunga kabhi
roz yahi main soch ke ghar se jata hun
sab raste hir-phir ke wapas aate hain
roz main apne aap ko ghar mein pata hun!
(430) Peoples Rate This