Ek Bachcha
aaj se pahle mera ghar
soya soya rahta tha
suraj roz nikalta tha
roz sawera hota tha
aangan mein diwaron par
dhup chamakti rahti thi
ghar ki ek ek khiDki mein
nur ki naddi bahti thi
sara sara din chhat par
kage shor machate the
nal niche pani pine
roz kabutar aate the
darwaze par dastak ki
mohren chamka karti thin
sard hawaen pardon mein
ThanDi aahen bharti hain
udhar idhar jati galiyan
dhum machaya karti thin
anjaane jaane bujhe
git sunaya karti thin
lekin phir bhi mera ghar
soya soya rahta tha!
ghar ka ek ek darwaza
khoya khoya rahta tha!
aaj magar ek nau-warid
bachche ka rona sun kar
chaunk paDe diwar-o-dar
jag uTha hai mera ghar
(477) Peoples Rate This