Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_08cb1c16ce99be5dfb5d569dd0d0e445, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dubne Se Pahle - Mohammad Alvi Poetry In English - Darsaal

Dubne Se Pahle

koi jaane wale jahazon ko roke

koi un ko ja kar batae

magar kaun jaane

ki chaaron taraf

chiKHti bhagti andhi pagal hawa ke alawa

meri zat hai

aur main

apne andar utarne laga hun!

jahaz ab kahan hain

kahan hai samundar!

hawa kis taraf bhagti hai

samundar jahaz aur hawa aur mein

sab ke sab apne andar utarne lage hain!

koi un ko roke

magar kaun roke

ki hadd-e-nazar tak meri zat hai

aur main

apne andar hi andar utarne laga hun!!

(473) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dubne Se Pahle In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Dubne Se Pahle is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Dubne Se Pahle for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Dubne Se Pahle in PDF.