Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c63650e55d2f2fcf05ab327155bdec34, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aur Phir Yun Hoga - Mohammad Alvi Poetry In English - Darsaal

Aur Phir Yun Hoga

han ye aaKHiri sadi hai

is ke iKHtitam par

ye zamin

suraj ki giraft se nikal kar

andheron mein Dubti chali jaegi

aur kisi tarik sayyare se Takra kar

TukDe TukDe ho jaegi!

aur phir yun hoga

zamin ke ek TukDe par

ek daraKHt hoga

aur us ki chhanw mein

ek bhai

aur ek bahan

ek dusre se lipaT kar

so rahe honge

aur shaitan

un ke talwe chaT raha hoga

aur zamin ka wo TukDa

ek nae suraj ke gird

chakkar kaT raha hoga!!

(528) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Phir Yun Hoga In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Aur Phir Yun Hoga is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Aur Phir Yun Hoga for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Aur Phir Yun Hoga in PDF.