Ab Jidhar Bhi Jate Hain
pahle aisa hota tha
bhant bhant ke bandar
shahr ki fasilon par
mahfilen jamate the
ghar mein kud aate the
hath mein se bachchon ke
roTi noch jate the
ab to wo madari bhi
KHali hath aata hai
bhik mang kar ghar ghar
ghar ko lauT jata hai
ab gharon mein chiDiyon ka
shor kyun nahin hota
raat ko koi ullu
peD par nahin rota
peD par nahin rota
laDte laDte chiDiyan kyun
farsh par nahin girtin
billiyan chhaton par kyun
ghumti nahin phirtin
ab na koi bulbul hai
aur na koi maina hai
ab na koi titar hai
aur na koi tota hai
kis se puchhne jaen
mor kaisa hota hai
Toliyan kabutar ki
kho gain fazaon mein
titliyon ke rangin par
bah gae hawaon mein
munh-andhere ab murgha
bang kyun nahin deta
ghar mein koi bakri ka
nam kyun nahin leta
kya hue daraKHton par
ghonsle parindon ke
koi bhi nahin kahta
qisse ab darindon ke
nanhe nanhe chuzon par
chil ka jhapaTna ab
dekhne kahan jaen
raste mein sanDon ka
pahron laDte rahna ab
dekhne kahan jaen
chhipkili ki jiti dum
ab thirakti kya paen
rang badalte girgiT ko
marte kahan jaen
gae bhains ka rewaD
ab idhar nahin aata
unT TeDha-meDha sa
ab nazar nahin aata
ab na ghoDe hathi hain
aur na wo baraati hain
ab gali mein kutton ka
bhaunkna nahin hota
raat chhat pe sote hain
bhut dekh kar koi
chaunkna nahin hota
ab jidhar bhi jate hain
aadmi ko pate hain
(815) Peoples Rate This