Yun To Kam Kam Thi Mohabbat Uski
yun to kam kam thi mohabbat us ki
kam na thi phir bhi rifaqat us ki
sare dukh bhul ke hans leta tha
ye bhi thi ek karamat us ki
uljhanen aur bhi thin us ke liye
ek main bhi tha musibat us ki
pahle bhi pine ko ji karta tha
mil hi jati thi ijazat us ki
KHwab mein jaise chala karta hun
dekhta rahta hun surat us ki
nam rahta hai zaban par us ka
ghar mein rahti hai zarurat us ki
us ki aadat thi shararat karna
kash ye bhi ho shararat us ki
phailte baDhte hue bistar mein
DhunDhta rahta hun qurbat us ki
ek bosida sa ghar chhoD gai
le gai sath wo jannat us ki
(521) Peoples Rate This