Yakka UlaT Ke Rah Gaya GhoDa BhaDak Gaya
yakka ulaT ke rah gaya ghoDa bhaDak gaya
kali saDak pe chand sa chehra chamak gaya
dekha use to aankh se parda sarak gaya
shoala sa ek jism ke andar lapak gaya
bahar gali mein khil gain kaliyan gulab ki
jhonka hawa ka aate hi kamra mahak gaya
mujh par nazar paDi to wo sharma ke rah gai
pahlu se us ke un ka gola luDhak gaya
koshish ke bawajud main bahar na aa saka
andar ka silsila to bahut dur tak gaya
main ne hi us ko qatl kiya tha ye sach hai par
sach sach bataun mera bhi ek ek pe shak gaya
'alwi' ne aaj din mein kahani sunai thi
shayad isi wajah se main rasta bhaTak gaya
(558) Peoples Rate This