Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e3724c243346ec51958cbd7738d8ff8d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Mere Sath Aane Pe Tayyar Ho Gaya - Mohammad Alvi Poetry In English - Darsaal

Wo Mere Sath Aane Pe Tayyar Ho Gaya

wo mere sath aane pe tayyar ho gaya

sote se haDbaDa ke main bedar ho gaya

us ke hasin chehre pe KHat KHub tha magar

daDhi munDa ke aur tarah-dar ho gaya

batti bujha ke hero heroine lipaT gae

qissa bahut hi phir to mazedar ho gaya

qatil farar ho gaya police ke aane tak

ek rah-rau bechaara giraftar ho gaya

un ko gunah karte hue main ne ja liya

phir un ke sath main bhi gunahgar ho gaya

mardangi ka us ki bahut shor tha magar

aai shab-e-visal to bimar ho gaya

(529) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Mere Sath Aane Pe Tayyar Ho Gaya In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Wo Mere Sath Aane Pe Tayyar Ho Gaya is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Wo Mere Sath Aane Pe Tayyar Ho Gaya for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Wo Mere Sath Aane Pe Tayyar Ho Gaya in PDF.