Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_179d52f9ffe6a1e9e60c410215525365, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shor Sahil Ka Samundar Mein Na Tha - Mohammad Alvi Poetry In English - Darsaal

Shor Sahil Ka Samundar Mein Na Tha

shor sahil ka samundar mein na tha

main ne dekha mere andar mein na tha

mere dushman sab mere ham-rah the

ek bhi dushman ke lashkar mein na tha

main yunhi ek ek ghar jhanka kiya

wo to mere sath tha ghar mein na tha

us ki surat hi mein ye tasir thi

pyar ka sauda mere sar mein na tha

apne hathon mar gaya hota magar

ye maza mere muqaddar mein na tha

(482) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shor Sahil Ka Samundar Mein Na Tha In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Shor Sahil Ka Samundar Mein Na Tha is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Shor Sahil Ka Samundar Mein Na Tha for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Shor Sahil Ka Samundar Mein Na Tha in PDF.