Safar Mein Sochte Rahte Hain Chhanw Aae Kahin
safar mein sochte rahte hain chhanw aae kahin
ye dhup sara samundar hi pi na jae kahin
main KHud ko marte hue dekh kar bahut KHush hun
ye Dar bhi hai ki meri aankh khul na jae kahin
hawa ka shor hai baadal hain aur kuchh bhi nahin
jahaz TuT hi jae zamin dikhae kahin
chala to hun magar is bar bhi ye dhaDka hai
ye rasta bhi mujhe phir yahin na lae kahin
KHamosh rahna tumhaara bura na tha 'alwi'
bhula diya tumhein sab ne na yaad aae kahin
(665) Peoples Rate This