Kuchh To Is Dil Ko Saza Di Jae
kuchh to is dil ko saza di jae
us ki taswir haTa di jae
DhunDne mein bhi maza aata hai
koi shai rakh ke bhula di jae
nam likh likh ke tera kaghaz par
raushnai bhi gira di jae
naw kaghaz ki bana kar us ko
bahte pani mein baha di jae
raat ko chupke se ek ek ghar ki
kyun na zanjir laga di jae
nind mein chaunk paDega koi
aao us dar pe sada di jae
aaKHiri sans mahak jaegi
us ke daman ki hawa di jae
sab ke sab yaad chale aate hain
aaj kis kis ko dua di jae
'alwi' hotel mein Thahar sakta hai
kyun use ghar mein jagah di jae
(525) Peoples Rate This