KhiDkiyon Se Jhank Kar Galiyon Mein Dar Dekha Kiye
khiDkiyon se jhank kar galiyon mein Dar dekha kiye
ghar mein baiThe raat din diwar-o-dar dekha kiye
aisa manzar tha ki aankhen dekh kar pathra gain
phir na dekha kuchh magar nezon pe sar dekha kiye
raat-bhar socha kiye aur subh-dam aKHbar mein
apne hathon apne marne ki KHabar dekha kiye
ek tara na-gahan chamka gira aur bujh gaya
phir na aai nind tare raat-bhar dekha kiye
wo to KHwabon mein bhi KHushbu ki tarah aata raha
phul ki manind us ko hum magar dekha kiye
kaun tha wo kab mila tha kya pata 'alwi' magar
der tak hum us ko aankhen mund kar dekha kiye
(499) Peoples Rate This