Kabhi To Aisa Bhi Ho Rah Bhul Jaun Main
kabhi to aisa bhi ho rah bhul jaun main
nikal ke ghar se na phir apne ghar mein aaun main
bikher de mujhe chaaron taraf KHalaon mein
kuchh is tarah se alag kar ki juD na paun main
ye jo akele mein parchhaiyan si banti hain
bikhar hi jaengi lekin kise dikhaun main
mera makan agar bich mein na aae to
in unche unche makanon ko phand jaun main
gawahi deta wahi meri be-gunahi ki
wo mar gaya to use ab kahan se laun main
ye zindagi to kahin KHatm hi nahin hoti
ab aur kitne dinon ye azab uThaun main
ghazal kahi hai koi bhang to nahin pi hai
mushaere mein tarannum se kyun sunaun main
are wo aap ke diwan kya hue 'alwi'
bike na hon to kabaDi ko sath laun main
(838) Peoples Rate This