Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4036ff397cd161417829be86aed685c5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hua Chali To Mere Jism Ne Kaha Mujhko - Mohammad Alvi Poetry In English - Darsaal

Hua Chali To Mere Jism Ne Kaha Mujhko

hawa chali to mere jism ne kaha mujh ko

akela chhoD ke tu bhi kahan chala mujh ko

main kab se DhunDhta phirta hun apni qismat ko

ye tere hath mein kya hai zara dikha mujh ko

dahakti jalti hui dopahar mili lekin

kisi daraKHt ka saya na mil saka mujh ko

main apne room ki batti jalae baiTha hun

are ye sham se pahle hi kya hua mujh ko

bala ke shor mein Dubi hui sada hun main

kisi se kya kahun main ne bhi kab suna mujh ko

wo koi aur hai 'alwi' jo sher kahta hai

tum is ke jurm ki dete ho kyun saza mujh ko

(470) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hua Chali To Mere Jism Ne Kaha Mujhko In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Hua Chali To Mere Jism Ne Kaha Mujhko is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Hua Chali To Mere Jism Ne Kaha Mujhko for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Hua Chali To Mere Jism Ne Kaha Mujhko in PDF.