Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f6879b4a9e29ad8877ee170c246dcc62, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har-chand Jagte Hain Pa Soe Hue Se Hain - Mohammad Alvi Poetry In English - Darsaal

Har-chand Jagte Hain Pa Soe Hue Se Hain

har-chand jagte hain pa soe hue se hain

sab apne apne KHwabon mein khoe hue se hain

main sham ke hisar mein jakDa hua sa hun

manzar mere lahu mein Duboe hue se hain

mahsus ho raha hai ye phulon ko dekh kar

jaise tamam raat ke roe hue se hain

ek Dor hi hai din ki mahinon ki sal ki

is mein kahin pe hum bhi piroe hue se hain

'alwi' ye moajiza hai december ki dhup ka

sare makan shahr ke dhoe hue se hain

(602) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har-chand Jagte Hain Pa Soe Hue Se Hain In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Har-chand Jagte Hain Pa Soe Hue Se Hain is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Har-chand Jagte Hain Pa Soe Hue Se Hain for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Har-chand Jagte Hain Pa Soe Hue Se Hain in PDF.