Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_db3c27cba27623e55cd585588d95aaf1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ghar Se Bahar Kis Bala Ka Shor Tha - Mohammad Alvi Poetry In English - Darsaal

Ghar Se Bahar Kis Bala Ka Shor Tha

ghar se bahar kis bala ka shor tha

mere ghar mein jaise main KHud chor tha

main ne dil mein jhank kar dekha use

phir usi ka aks chaaron or tha

pahle nacha aur phir rone laga

mera dil bhi jaise koi mor tha

ghar ke andar KHak khane ko na thi

sarhadon par dushmanon ka zor tha

main ne kal raste mein dekha tha use

mujh ko kya malum tha wo chor tha

raat bhar 'alwi' ko main paDhta raha

yar wo shaer to sach-much bor tha

(591) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Se Bahar Kis Bala Ka Shor Tha In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Ghar Se Bahar Kis Bala Ka Shor Tha is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Ghar Se Bahar Kis Bala Ka Shor Tha for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Ghar Se Bahar Kis Bala Ka Shor Tha in PDF.