Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_87758f5adb5c9e2e734167db7773971c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Din Ek Ke Baad Ek Guzarte Hue Bhi Dekh - Mohammad Alvi Poetry In English - Darsaal

Din Ek Ke Baad Ek Guzarte Hue Bhi Dekh

din ek ke baad ek guzarte hue bhi dekh

ek din tu apne aap ko marte hue bhi dekh

har waqt khilte phul ki jaanib taka na kar

murjha ke pattiyon ko bikharte hue bhi dekh

han dekh barf girti hui baal baal par

tapte hue KHayal ThiThurte hue bhi dekh

apnon mein rah ke kis liye sahma hua hai tu

aa mujh ko dushmanon se na Darte hue bhi dekh

paiwand baadalon ke lage dekh ja-ba-ja

baglon ko aasman katarte hue bhi dekh

hairan mat ho tairti machhli ko dekh kar

pani mein raushni ko utarte hue bhi dekh

us ko KHabar nahin hai abhi apne husn ki

aaina de ke bante-e-sanwarte hue bhi dekh

dekha na hoga tu ne magar intizar mein

chalte hue samay ko Thaharte hue bhi dekh

tarif sun ke dost se 'alwi' tu KHush na ho

us ko teri buraiyan karte hue bhi dekh

(767) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Ek Ke Baad Ek Guzarte Hue Bhi Dekh In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Din Ek Ke Baad Ek Guzarte Hue Bhi Dekh is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Din Ek Ke Baad Ek Guzarte Hue Bhi Dekh for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Din Ek Ke Baad Ek Guzarte Hue Bhi Dekh in PDF.