Aur Koi Chaara Na Tha Aur Koi Surat Na Thi

aur koi chaara na tha aur koi surat na thi

us ke rahe ho ke hum jis se mohabbat na thi

itne baDe shahr mein koi hamara na tha

apne siwa aashna ek bhi surat na thi

is bhari duniya se wo chal diya chupke se yun

jaise kisi ko bhi ab us ki zarurat na thi

ab to kisi baat par kuchh nahin hota hamein

aaj se pahle kabhi aisi to haalat na thi

sab se chhupate rahe dil mein dabaate rahe

tum se kahen kis liye gham tha wo daulat na thi

apna to jo kuchh bhi tha ghar mein paDa tha sabhi

thoDa bahut chhoDna chor ki aadat na thi

aisi kahani ka main aaKHiri kirdar tha

jis mein koi ras na tha koi bhi aurat na thi

sher to kahte the hum sach hai ye 'alwi' magar

tum ko sunate kabhi itni bhi fursat na thi

(545) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Koi Chaara Na Tha Aur Koi Surat Na Thi In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Aur Koi Chaara Na Tha Aur Koi Surat Na Thi is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Aur Koi Chaara Na Tha Aur Koi Surat Na Thi for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Aur Koi Chaara Na Tha Aur Koi Surat Na Thi in PDF.