Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d4ce18b2813dca76a30bfb462683cfa6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aur Bazar Se Kya Le Jaun - Mohammad Alvi Poetry In English - Darsaal

Aur Bazar Se Kya Le Jaun

aur bazar se kya le jaun

pahli barish ka maza le jaun

kuchh to saughat dun ghar walon ko

raat aankhon mein saja le jaun

ghar mein saman to ho dilchaspi ka

hadisa koi uTha le jaun

ek diya der se jalta hoga

sath thoDi si hawa le jaun

kyun bhaTakta hun ghalat rahon mein

KHwab mein us ka pata le jaun

roz kahta hai hawa ka jhonka

aa tujhe dur uDa le jaun

aaj phir mujh se kaha dariya ne

kya irada hai baha le jaun

ghar se jata hun to kaam aaenge

ek do ashk bacha le jaun

jeb mein kuchh to rahega 'alwi'

lao tum sab ki dua le jaun

(520) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Bazar Se Kya Le Jaun In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Aur Bazar Se Kya Le Jaun is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Aur Bazar Se Kya Le Jaun for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Aur Bazar Se Kya Le Jaun in PDF.