Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_044dcfd6cf4124a8d89351ae79cef986, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aisa Hua Nahin Hai Par Aisa Na Ho Kahin - Mohammad Alvi Poetry In English - Darsaal

Aisa Hua Nahin Hai Par Aisa Na Ho Kahin

aisa hua nahin hai par aisa na ho kahin

us ne mujhe na dekh ke dekha na ho kahin

qadmon ki chap der se aati hai kan mein

koi mere KHayal mein phirta na ho kahin

sanki hui hawaon mein KHushbu ki aanch hai

patton mein koi phul dahakta na ho kahin

ye kaun jhankta hai kiwaDon ki oT se

batti bujha ke dekh sawera na ho kahin

'alwi' KHuda ke waste ghar mein paDe raho

bahar na jao phir koi jhagDa na ho kahin

(623) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisa Hua Nahin Hai Par Aisa Na Ho Kahin In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Aisa Hua Nahin Hai Par Aisa Na Ho Kahin is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Aisa Hua Nahin Hai Par Aisa Na Ho Kahin for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Aisa Hua Nahin Hai Par Aisa Na Ho Kahin in PDF.