Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_30412c83e1884a9aa7b9c494b1e0a731, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kya Kaha Phir To Kaho Dil Ki KHabar Kuchh Bhi Nahin - Mohammad Ali Tishna Poetry In English - Darsaal

Kya Kaha Phir To Kaho Dil Ki KHabar Kuchh Bhi Nahin

kya kaha phir to kaho dil ki KHabar kuchh bhi nahin

phir ye kya hai KHam-e-gesu mein agar kuchh bhi nahin

aankh paDti hai kahin panw kahin paDta hai

sab ki hai tum ko KHabar apni KHabar kuchh bhi nahin

shama hai gul bhi hai bulbul bhi hai parwana bhi

raat ki raat ye sab kuchh hai sahar kuchh bhi nahin

hashr ki dhum hai sab kahte hain yun hai yun hai

fitna hai ek teri Thokar ka magar kuchh bhi nahin

nisti ki hai mujhe kucha-e-hasti mein talash

sair karta hun udhar ki ki jidhar kuchh bhi nahin

shama maghrur na ho bazm-farozi pe bahut

raat-bhar ki ye tajalli hai sahar kuchh bhi nahin

ek aansu bhi asar jab na kare ai 'tishna'

faeda rone se ai dida-e-tar kuchh bhi nahin

(645) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kaha Phir To Kaho Dil Ki KHabar Kuchh Bhi Nahin In English By Famous Poet Mohammad Ali Tishna. Kya Kaha Phir To Kaho Dil Ki KHabar Kuchh Bhi Nahin is written by Mohammad Ali Tishna. Read famous Poem Kya Kaha Phir To Kaho Dil Ki KHabar Kuchh Bhi Nahin for youth and Student by Mohammad Ali Tishna. Free Download Kya Kaha Phir To Kaho Dil Ki KHabar Kuchh Bhi Nahin in PDF.