Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d15438637b683b340ad5c1473bae2049, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Teri Surat Mujhe Batati Hai - Mohammad Ali Sahil Poetry In English - Darsaal

Teri Surat Mujhe Batati Hai

teri surat mujhe batati hai

yaad meri tujhe bhi aati hai

us ke ek bar dekhne ki ada

dil mein sau hasraten jagati hai

mere dil mein wo aae hain aise

jaise aangan mein dhup aati hai

KHwab mein jab bhi dekhta hun use

nind aankhon se ruTh jati hai

apni marzi se hum nahin chalte

koi taqat hamein chalati hai

hum hain tahzib ke alam-bardar

hum ko urdu zaban aati hai

main to sahil hun mauj dariya ki

mujh ko KHud hi gale lagati hai

(649) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Surat Mujhe Batati Hai In English By Famous Poet Mohammad Ali Sahil. Teri Surat Mujhe Batati Hai is written by Mohammad Ali Sahil. Read famous Poem Teri Surat Mujhe Batati Hai for youth and Student by Mohammad Ali Sahil. Free Download Teri Surat Mujhe Batati Hai in PDF.