Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_eefd11ce7c4d0e631b7999af9fcf1077, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mazaq-e-gham UDana Ab Mujhe Achchha Nahin Lagta - Mohammad Ali Sahil Poetry In English - Darsaal

Mazaq-e-gham UDana Ab Mujhe Achchha Nahin Lagta

mazaq-e-gham uDana ab mujhe achchha nahin lagta

kisi ka muskurana ab mujhe achchha nahin lagta

kabhi ninden churana jin ki mujh ko achchha lagta tha

nazar un ka churana ab mujhe achchha nahin lagta

jinhen mujh par yaqin hai meri chahat par bharosa hai

bharam un ka miTana ab mujhe achchha nahin lagta

nasheman mere dil ka jab se tinka tinka bikhra hai

koi bhi aashiyana ab mujhe achchha nahin lagta

mohabbat karne walon ne jo chhoDe hain zamane mein

nishan un ke miTana ab mujhe achchha nahin lagta

teri duniya se shayad bhar chuka hai mera dil 'sahil'

yahan ka aab-o-dana ab mujhe achchha nahin lagta

(769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mazaq-e-gham UDana Ab Mujhe Achchha Nahin Lagta In English By Famous Poet Mohammad Ali Sahil. Mazaq-e-gham UDana Ab Mujhe Achchha Nahin Lagta is written by Mohammad Ali Sahil. Read famous Poem Mazaq-e-gham UDana Ab Mujhe Achchha Nahin Lagta for youth and Student by Mohammad Ali Sahil. Free Download Mazaq-e-gham UDana Ab Mujhe Achchha Nahin Lagta in PDF.