Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_dc7cbefd131e58e79d58809527cd5bea, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hosh Kho Kar Josh Mein Kuchh Is Tarah Main Bah Gaya - Mohammad Ali Sahil Poetry In English - Darsaal

Hosh Kho Kar Josh Mein Kuchh Is Tarah Main Bah Gaya

hosh kho kar josh mein kuchh is tarah main bah gaya

kya mujhe kahna tha us se aur kya kya kah gaya

us ki jaanib dekh kar aaKHir ye mujh ko kya hua

ek sach honTon pe mere aate aate rah gaya

jo asasa zindagi ka us ne joDa umr bhar

maut ka sailab jab aaya to sab kuchh bah gaya

zulm ki buniyaad par us ne banaya tha mahal

sabr ki bas ek hi Thokar se wo bhi Dhah gaya

tum ne to aansu hi dekhe hain tumhein malum kya

dard ka dariya meri aankhon se ho kar bah gaya

dosti qaem rahe har haal mein ye soch kar

doston ne jo diye wo zaKHm hans kar sah gaya

zindagi ne har qadam par neamaten taqsim kin

aur 'sahil' umr ke zer-o-zabar mein rah gaya

(903) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hosh Kho Kar Josh Mein Kuchh Is Tarah Main Bah Gaya In English By Famous Poet Mohammad Ali Sahil. Hosh Kho Kar Josh Mein Kuchh Is Tarah Main Bah Gaya is written by Mohammad Ali Sahil. Read famous Poem Hosh Kho Kar Josh Mein Kuchh Is Tarah Main Bah Gaya for youth and Student by Mohammad Ali Sahil. Free Download Hosh Kho Kar Josh Mein Kuchh Is Tarah Main Bah Gaya in PDF.