Qaid Aur Qaid Bhi Tanhai Ki
qaid aur qaid bhi tanhai ki
sharm rah jae shakebai ki
sujhta kya hamein un aankhon se
shart thi qalb ki binai ki
dar-e-but-KHana se baDhne hi na pae
garche ek umr jabin-sai ki
qais ko naqa-e-laila na mila
go bahut baadiya-paimai ki
hum ne har zarre ko mahmil paya
hai ye qismat tere sahrai ki
waqf hai us ke liye jaan-e-aziz
kabe ke KHadim o shaidai ki
kaba o quds mein ghar kiya ye bhi
ek ada hai mere harjai ki
nazar aaya hamein har chiz mein tu
us pe ye dhum hai yaktai ki
ishq aur jaur-e-sitamgar ka gila
had hai ai dil yahi ruswai ki
ishq ko hum ne kiya nazr-e-junun
umr bhar mein yahi danai ki
kar gai zinda-e-jawed hamein
tegh-e-qatil ne masihai ki
ho na taqlid dila maqtal mein
kahin musa se tamannai ki
na sahi tegh tajalli hi sahi
aankh jhapke na tamashai ki
kal ko hai phir wahi zindan 'jauhar'
Thik kiya aap se saudai ki
(1626) Peoples Rate This