Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e4ff6d49cd34de7a40904a797c1ba167, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gila Ai Dil Abhi Se Karta Hai - Mohammad Ali Jauhar Poetry In English - Darsaal

Gila Ai Dil Abhi Se Karta Hai

gila ai dil abhi se karta hai

ishq ka dam usi pe bharta hai

jaan deta hai aish-e-fani par

bas isi zindagi pe marta hai

rahat-e-jawedan ko bhul gaya

koi duniya mein ye bhi karta hai

ishq ban kar jiye to KHak jiye

zinda wo hai jo un pe marta hai

nam par us ke sab jo de baiTha

wahi ek hai jo nam karta hai

waqf momin hai aazmaish-e-ishq

is mein pura wahi utarta hai

jis ko duniya ne na-murad kiya

wahi nakaam kaam karta hai

hai musalman ki bas yahi pahchan

ki faqat ek KHuda se Darta hai

qaul-e-momin hai us ke fel ki sharh

wo jo kahta hai kar guzarta hai

mutmain rah dila wo jaan-e-jahan

wada kar ke kahin mukarta hai

mere rang-e-kafan ki shoKHi dekh

yun hi aashiq tera sanwarta hai

aaj kar lo jo kar sako kal tak

kaun jita hai kaun marta hai

qulzum-e-ishq mein gira so gira

us ka Duba kahin ubharta hai

is qadar ehtiyat ai sayyaad

ki qafas mein bhi par katarta hai

wahi din hai hamari id ka din

jo teri yaad mein guzarta hai

mai-e-islam ka bhala 'jauhar'

nashsha chaDh kar kahin utarta hai

(1170) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gila Ai Dil Abhi Se Karta Hai In English By Famous Poet Mohammad Ali Jauhar. Gila Ai Dil Abhi Se Karta Hai is written by Mohammad Ali Jauhar. Read famous Poem Gila Ai Dil Abhi Se Karta Hai for youth and Student by Mohammad Ali Jauhar. Free Download Gila Ai Dil Abhi Se Karta Hai in PDF.