Dil Ko Halak-e-jalwa-e-jaanan Banaiye
dil ko halak-e-jalwa-e-jaanan banaiye
is but-kade ko kaba-e-iman banaiye
tufan ban ke uThiye jahan-e-KHarab mein
hasti ko ek sharara-e-raqsan banaiye
dauDaiye wo ruh ki har zarra jag uThe
ujDe hue watan ko gulistan banaiye
phir dijiye nigah ko paigham-e-justuju
manzil se kyun nazar ko gurezan banaiye
aaKHir to KHatm hongi kahin qaid ki haden
yusuf ko aap raunaq-e-zindan banaiye
phir apne dil mein kijiye paida koi taDap
phir mushkil-e-hayat ko aasan banaiye
'jauhar' asiriyon ki koi intiha bhi hai
aazad ek nizam-e-pareshan banaiye
(1255) Peoples Rate This