Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_dc32dbef725f569129935e3ee04d69e6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Daur-e-hayat Aaega Qatil Qaza Ke Baad - Mohammad Ali Jauhar Poetry In English - Darsaal

Daur-e-hayat Aaega Qatil Qaza Ke Baad

daur-e-hayat aaega qatil qaza ke baad

hai ibtida hamari teri intiha ke baad

jina wo kya ki dil mein na ho teri aarzu

baqi hai maut hi dil-e-be-muddaa ke baad

tujh se muqable ki kise tab hai wale

mera lahu bhi KHub hai teri hina ke baad

ek shahr-e-arzu pe bhi hona paDa KHajil

hal-mimmazid kahti hai rahmat dua ke baad

lazzat hanuz maida-e-ishq mein nahin

aata hai lutf-e-jurm-e-tamanna saza ke baad

qatl-e-husain asl mein marg-e-yazid hai

islam zinda hota hai har karbala ke baad

ghairon pe lutf hum se alag haif hai agar

ye be-hijabiyan bhi hon uzr-e-haya ke baad

mumkin hai nala jabr se ruk bhi sake agar

hum par to hai wafa ka taqaza jafa ke baad

hai kis ke bal pe hazrat-e-'jauhar' ye ru-kashi

DhunDenge aap kis ka sahaara KHuda ke baad

(5515) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daur-e-hayat Aaega Qatil Qaza Ke Baad In English By Famous Poet Mohammad Ali Jauhar. Daur-e-hayat Aaega Qatil Qaza Ke Baad is written by Mohammad Ali Jauhar. Read famous Poem Daur-e-hayat Aaega Qatil Qaza Ke Baad for youth and Student by Mohammad Ali Jauhar. Free Download Daur-e-hayat Aaega Qatil Qaza Ke Baad in PDF.