Dar Nahin Mujhko Gunahon Ki Giran-bari Ka
Dar nahin mujh ko gunahon ki giran-bari ka
teri rahmat hai sabab meri subuksari ka
dar ne ek sag-e-duniya ko ye baKHsha hai uruj
hai farishton mein bhi charcha meri din-dari ka
dil o jaan saunp chuke hum tujhe ai jaan-e-jahan
ab hamein KHauf hi kya apni giraftari ka
jaan bhi chiz hai koi ki rakhen tum se daregh
pas itna bhi na ho rasm-e-wafadari ka
saqiya sab ko teri ek nazar kafi thi
tha kise hosh tere ahd mein hushyari ka
main fida aaj bhi ho jae wahi ek nigah
KHatma ho kahin is daur ki KHuddari ka
aashiqon ke liye hai dar hi daru-e-shifa
ishq ki tib mein dawa nam hai bimari ka
ajal istada hai baalin pe mariz-e-gham-e-ishq
aankh to khol zara waqt hai bedari ka
'jauhar' aur hajib o darban ki KHushamad kya KHub
arsh o kursi pe guzar hai tere darbari ka
(1178) Peoples Rate This