Be-KHauf-e-ghair Dil Ki Agar Tarjuman Na Ho
be-KHauf-e-ghair dil ki agar tarjuman na ho
behtar hai is se ye ki sire se zaban na ho
hon be-hiras ye mujhe rakkhen kisi jagah
Dar ho wahan ki teri hukumat jahan na ho
ek tu jo mehrban ho to har ek ho mehrban
aur yun na ho bala se koi mehrban na ho
hum ko to ek tujh se do aalam mein hai gharaz
sab bad-guman hua karen tu bad-guman na ho
dair o haram mein DhunD ke sab thak gae use
ab kaun kah sake ki kahan ho kahan na ho
karna hi tha haram to phir wada kis liye
ye kya ki mai halal wahan ho yahan na ho
himmat na haar de koi manzil ke samne
parwardigar yun bhi koi na-tawan na ho
milne to phir chale ho mashiKHat panah se
qashqa ka dekho aaj jabin par nishan na ho
'jauhar' is ek dil ke liye itne mashghale
ki hai KHuda ki chah to ishq-e-butan na ho
(1144) Peoples Rate This