Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a845bbe9b2132f3a815d3bbba3f190b7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mata-e-umr-e-guzishta SameT Kar Le Ja - Mohammad Ali Asar Poetry In English - Darsaal

Mata-e-umr-e-guzishta SameT Kar Le Ja

mata-e-umr-e-guzishta sameT kar le ja

jo ho sake to mera dard apne ghar le ja

tu ja raha hai to meri sisakti aankhon se

sulagti sham pighalti hui sahar le ja

uchaTti aankhon se tahzib ka safar kaisa

tu apne-ap ko tariKH ke udhar le ja

huzur-e-dost ek aaina jagmagata hai

tu apni zat ka paikar tarash le kar le ja

sulag rahi hai teri yaad meri rag rag mein

ab apni yaad mere dil se chhin kar le ja

'asar' ke pas to kuchh bhi nahin hunar ke siwa

tu be-hunar hai to sarmaya-e-hunar le ja

(562) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mata-e-umr-e-guzishta SameT Kar Le Ja In English By Famous Poet Mohammad Ali Asar. Mata-e-umr-e-guzishta SameT Kar Le Ja is written by Mohammad Ali Asar. Read famous Poem Mata-e-umr-e-guzishta SameT Kar Le Ja for youth and Student by Mohammad Ali Asar. Free Download Mata-e-umr-e-guzishta SameT Kar Le Ja in PDF.