Ghazal-mizaj Hai Yaksar Ghazal Ka Lahja Hai
ghazal-mizaj hai yaksar ghazal ka lahja hai
sarapa jaise nazakat ka istiara hai
qadam qadam pe charaghon ki sans rukti hai
ki ab to shahron mein jina azab lagta hai
jhulasti sham badalne lagi hai pairahan
tere badan ki tamazat mein sehr kaisa hai
shagufta harf-e-nawa ajnabi se lagte hain
udas lafzon se apna qadim rishta hai
na mausamon mein mahak hai na rat-jagon mein asar
tumhaare shahr ka mausam bhi kitna phika hai
chahaar-samt KHayalon ki ret bikhri hui
hamari pyas ka manzar ye reg-e-sahra hai
ab apni tishna-labi par na jaiyega 'asar'
samundaron ka muhafiz bhi aaj pyasa hai
(749) Peoples Rate This