Aawazon Ke Jangal Mein Sunai Nahin Deta
aawazon ke jangal mein sunai nahin deta
wo bhiD hai chehra bhi sujhai nahin deta
aafaq ki wusat mein bikharne ko hun bechain
kyun jism ke zindan se rihai nahin deta
wo haqq-e-rifaqat ki riwayat ka amin hai
wo haq bhi to ek bhai ko bhai nahin deta
paD jae agar waqt to is daur mein koi
parbat to baDi baat hai rai nahin deta
barish mein bhi wo bhigta rahta hai KHushi se
aandhi mein bhi wo peD duhai nahin deta
be mange bhi de deta hai shahi jise chahe
aur mangne wale ko gadai nahin deta
wo shaKHs jo rahta hai 'asar' aankh mein har-dam
hairat hai ki KHud mujh ko dikhai nahin deta
(736) Peoples Rate This