Iztirab-e-KHak-e-amjad Mein Kahin Rahta Hai Wo
iztirab-e-KHak-e-amjad mein kahin rahta hai wo
kaenat-e-ruh-e-ahmad mein kahin rahta hai wo
daera-dar-daera sadiyan bulati hain use
sachchi aawazon ke gumbad mein kahin rahta hai wo
DhunDne nikle hain jis ko ilm ke sahra mein hum
dard-o-gham ki rah-e-abjad mein kahin rahta hai wo
yaad aata hai musibat main duaon ki tarah
shahr ke viran mabad mein kahin rahta hai wo
muntazir hai zarre zarre ki nigahon mein lahu
surKH-ru hone ki sarhad mein kahin rahta hai wo
munkashif hoti hui hairat mein us ko dekhiye
ek nigah-e-KHwab ki zad mein kahin rahta hai wo
ek irade ki tarah 'ajmal' dilon ke darmiyan
arz-e-jaan ki aaKHiri had mein kahin rahta hai wo
(538) Peoples Rate This