Hum Akele Hi Sahi Shahr Mein Kya Rakhte The
hum akele hi sahi shahr mein kya rakhte the
dil mein jhanko to kai shahr basa rakhte the
ab kise dekhne baiThe ho liye dard ki zau
uTh gae log jo aankhon mein haya rakhte the
is tarah taza KHudaon se paDa hai pala
ye bhi ab yaad nahin hai ki KHuda rakhte the
chhin kar kis ne bikhera hai shuaon ki tarah
raat ka dard zamane se bacha rakhte the
le gain jaane kahan garm hawaen un ko
phul se log jo daman mein saba rakhte the
kal jo dekha to wo aankhon mein liye phirta tha
hae wo chiz ki hum sab se chhupa rakhte the
taza zaKHmon se chhalak uTThin purani Tisen
warna hum dard ka ehsas naya rakhte the
ye jo rote hain liye aankh mein TuTe tare
apne chehre pe kabhi chand saja rakhte the
aaj wo shahr-e-KHamoshan ki tarah hain 'ajmal'
kal talak shahr mein jo dhum macha rakhte the
(552) Peoples Rate This