Gahri Aaankhon Mein Ye Kaisi Hai BichhaDti Mahfilon Ki Raushni
gahri aaankhon mein ye kaisi hai bichhaDti mahfilon ki raushni
ajnabi logon mein dekhi main ne apne doston ki raushni
manzilon par wo pahunch kar bhi abhi tak manzilon jaisa nahin
us ki sochon se bandhi hai raste ke manzaron ki raushni
us ke mere darmiyan pakizgi ka raqs to hota nahin
ek parde ki tarah rahti hai nangi KHwahishon ki raushni
main ne us ko KHwab mein dekha to wo ek aur hi duniya mein tha
us ke har jaanib bikharti ja rahi thi rat-jagon ki raushni
ab to us ka dard bhi 'ajmal' samundar ki tarah gahra nahin
is jazire mein bhaTakti hai akele sahilon ki raushni
(509) Peoples Rate This