Bikharti KHak Mein Koi KHazana DhunDhti Hai
bikharti KHak mein koi KHazana DhunDhti hai
thaki-haari zamin apna zamana DhunDhti hai
shajar kaTte chale jate hain dil ki bastiyon mein
teri yaadon ki chiDiya aashiyana DhunDhti hai
yaqin ki sar-zamin zahir hui ujDe lahu mein
ye arz-e-be-watan apna tarana DhunDhti hai
bhaTakti hai tujhe milne ki KHwahish mahfilon mein
ye KHwahish KHwahishon mein aastana DhunDhti hai
tere gham ka KHumar utra adhuri kaifiyat mein
ye kaifiyyat koi mausam purana DhunDhti hai
bikharta hun judai ki akeli wusaton mein
ye virani mere ghar mein Thikana DhunDhti hai
meri miTTi sajai ja rahi hai aanganon mein
ye raston par taDapne ka bahana DhunDhti hai
(568) Peoples Rate This